Friday, September 26, 2008

Manzil!

...

Ye kia Safar hai ke jis main
Raste bhi Humsafar bhi ...
kadam kadam par Badal rahe hain
koi bhi Manzar nahi ke jismai Thehar sakon main
Palak palak mai badalne wali
Ajeeb dunya ki Rahguzar hai
kahan hai Manzil, haye kahan hai Manzil
kahan hai Manzil, haye kahan hai Manzil
......
humain Guman tha ke is Safar mai
Ziyan ka koi Kadam nahi hai
hamare bas mai hai sari Dunya
kahein koi Pech-o-Kham nahi hai
magar jo ab Murr ke dekhte hain
to Gard ankho mai bhar gaye hai
Wajood sara hai Weham jaisa
Ghubar rasta,Gumaan hai manzil
samajh rahe thay Yahan hai Manzil
....
kahan hai Manzil, haye kahan hai Manzil
kahan hai Manzil, haye kahan hai Manzil....

Kaavish

7 comments:

WritingsForLife said...

agger kisi ko manzil mili hai na tu uss ko mili hai jis ne koshish ki hai... jo persistent raha hai.. aur jis ne himat se kaam lia... jo log koshish nahi kertey unhain manzil bhi nahi milti.
*Sigh*

Rashi said...

b'ful initial lines...I so bery agree...

guy alone said...

@ Rashi

Thanx 4 visiting!!!

lizzie said...

great work.. can relate to it! nice blog you have :)

zindagi-ki-diary said...

achha likhte ho...

you r in my bookmark

yogi said...

u r gr8 buddy...this is my fav song..!!!

guy alone said...

Zindagi ki Diary and Yogi ...thanks:)