Friday, September 5, 2008

Choice


..
........Going back home...30 minutes into the drive, I felt something warm flowing through my eyes...was that so painful?!?!...leaving someone...missing someone...complaining to God "why the good times don't last long", But isn't it just being ungrateful to God ?!?!?
I am Sad...

.........Next 3 hours passed while driving, having some snacks..sodas, stoping by a couple of gas stations..and thinking and thinking....Isn't it so strange how someone can give us so much happiness and for that very reason one should always be thankful to that person and of course God...You never know it could have been worse.
...
.........In the last 30 minutes of the journey..again i felt something warm flowing through my eyes...I asked myself....Is it the same feeling??? "No"...Is it the same person?? "Yes".
I am Happy...

Wednesday, September 3, 2008

Thought of the Day

Its Hard to Wait around for Somthing ,that you know might Never happen ,

But its even Harder to give up especially...when its Everything you have ever Wanted.

Wednesday, August 13, 2008

Raat

........Raat....kitni tareek hoti hie na.....ek sannata...ek wehshat...ek anjana sa khauff hota hei raat mei....per jane kyun...in sab key baad bhi ek ajeeb sa sakoon milta hei is raat sey.....Akser hum din me beesion logon k hote hue bhi tanha hote hein....per raat me akele hote hue bhi tanha nahi hote...
Kabhi tum ne ghor kia us Chand per jise raat mei meelon ki musafat tae kerni hoti hei..per wo hamare lye apni raftaar itni madham ker deta hei kai kahin hamari nazron se ojhal na ho jaye....Jante ho kyun ..kyun k wo hume tanha nahi chorna chahta....

Aur ye jheengar jis ka khuaf use hamare samne nahi aane deta...per wo apni chaaen chaaen se musalsal apni mojoodgi ka ehsaas dilata rehta hei...

Deewar per lagi ghari.....poora din jis ki tik tik per hum ghor hi nahi kertey....wo raat bhar humse baatein kerti rehti hei....kabhi ghor kia raat kai kisi peher ...tik tik tik tik...
Wo sard hawa k jhonke jo tum se sargoshian kerte phirte hein aur wo patton ki sarsarahat...
Aur phir ye sitaare...
" Kis kadar ehsaas hei qudrat ko mere dard ka
Jagte rehte hein taare raat bhar mere lye "
Ye taare hamara sath nibhane ki dor me apni poori koowat se tim timaate rehte hein aur is hi koshish me dam tor jaate hein...aur dekhney wale khoosh ho kay kehte hein “wo dekho toota taara...”
Dekha tum ne!!!
Me tanha to nahi raat kei is safar mei, ye sab mere sath hote hein....mere gham gusaar,mere dost...mere ratt jagon k saathi...

Tuesday, August 5, 2008

Asaasa

...
Ek key chain,
Ek ‘Jazz’ phone card….jis se ab koi call nahi aati,
‘McDonlads’ kay wrapper per likha wo note,
Ek friendship band, jo ab mere hath ki unglion me ata hi nahi,
Ek hair catcher,
Kuch khali cards….jin mey parhne key liye bohat kuch tha…per ab shayd wo waqai hi blank hein,
Ek nannha sa angel…..jo shayd ab meri hifazat nahi kerta,
Ek white wrist band,jo me ne tmahre hath se utaar ker khud pehen lia tha,
Ek silver ring, jis pey ab bhi mera naam kanda hay ek extra 'A' k sath...
Wo ek tissue paper per likha message,
Kuch phate purane movie tickets,
Ek adhooora quiz aur us k kone pey bani wo drawing,
Ek mug jis per wo cute si maano ab bhi bethi hui mjhe dekhti rehti hei,
Ek taweel aalwidaai khat, jise perhte perhte sham hojaye,
Ek safhe pey utaara hua 'Economics' ka wo pehla aur akhri lecture,
Aur wo locket jis per likha huye wo harf ab maand per gya hien,
Side table per rakha hua wo clock…jis ki tic tic her pal tmhara naam leti hei,
Ek photo frame jis me ab koi tasweer nahi,
Ek adad T-shirt,
Perfume ki khali bottles jin ki mehek me ab bhi mehsoos ker sakta hoon,
Aur!!!
Aur to kuch bhi nahi,
Bas yehi jama poonji hei,
Yehi kul Asaasa hei mera….

Thursday, July 31, 2008

No.1

..
........Kabhi tum ne socha hai No.2 position pai hona kesa lagta hai...kabhi mehsoos kia hai...kabhi experience kia hai???

........Kabhi dekha hai khud ko us k samne khare huye...aamne saamne...bohat kareeb...acha lagta hai na ek doosre ka sath...itne kareeb ..itne pass...per sab kuch ek dum dhara ka dhara reh jata hai...jab aap ko ye pata chalta hai k ap k kareeb hone k bawajood bhi wo to kisi aur k sath hai..jo us k samne nahi us k sath hai....tab aap apne dayen aur bayen dekhtey hain...per wahan to koi hai hi nahi...wahan to kabhi bhi koi nahi tha...ye hota hai No 2 position pai hona.

........Buhat takleefdai hota hai ye ehsaas....Jaane Anjaane mai kabhi hum ksi k bohat pass chale jate hain...bohat kareeb aur is khushfehmi mai hote hain k wo bhi hum se utna hi kareeb hai...per esa hota nahi hai!!!App ki priority aur preference list me to wo No.1 pai hota hai...jab tum us k sath hote ho tmhe kuch aur yad nahi hota ksi aur cheez ka khayal nahi hota....per us k khaylat kisi aur se mansoob hote hain...Aap k dil me wo shaks bari dhitaai se No.1 ki position pai kabza ker leta hai...han jaga aap ki bhi us k dil me hi hoti hai per wo position hoti hai No.2 ya No.3...aur tab aap chahyen bhi to us shaks ko No.2 pai nahi bhej saktey....pata hai kyun...kyun k aap k pass to No.1 spot ko pur karne k lye koi hai hi nahi....
...
........Aur aap is hi ehsas-e-kamtari k sath jeete rehte hain.....ek k bad ek shaks aap ki zindagi mai aata hai, aap use kuch hi arse baad No.1 ki position pai bitha dete hain n phr kuch arse baad hi aap ko aap ki position pata chalti hai....No.2 phr se.....Aap ek baar phr ye thoker kha k chal parte hain zindagi is safer pai k kahi, koi to mile ga jis k lye aap No.1 pai aate hon gey....No.2 ya No.3 pai nahi.....

Wednesday, July 16, 2008

Thought of the Day

..
Love is like War
Easy to Start
Hard to End
and
Imposible to Forget...

Saturday, May 24, 2008

Coming Back to Life

..
I think the Moment has Arrived,
For Killing the Past and
Coming back to Life!!!
:-)