Monday, May 6, 2013

Irony



Palkain kyun num huin...
Sansain bhi tham gayein..
Kahin khushiyan hain kho gayien
Hasi hontoon sey kho gayi..
Judayi key ansoo reh gaye..
Buss yehien..
Palkain kyun num huin
Sansain bhi tham gayien..

2005

Ik haseen raat main mujh ko
wo pari chehra mila tha
Jo merey khuwabon main tha basaa..
woh juda ho rahi thi mujh sey
khafa ho rahi thi
Or main khara dekhta buss raha
usey jana tha door hi
main usski manzil tha nahin
buss un lamhoon ko soch kar
aaj phir...
palkain kyun num huin..
Sansain bhi tham gayien

2007

Zindagi saamney ayi toh
na lab khol paya
na main usey keh saka jo dil main tha
uss ki masoom ankhon main
jo basa pyar tha merey liye
usey naam kya deta bhala
main tha hairan yoon ho gaya
usey samjhaoon kis tarah
phir un yadon main doob kar
aaj bhi...
palkain kyun num huin
sansain bhi tham gayien..

2009

Bekhabar they zamaney sey hum
tumhain jana toh pehchana ghum
itnay anjaan they ji rahey
tum ney bhi toh sameyta hum ko
bikhar jatay warna toot key
kahin rahoon main kho jatay hum

woh anjana sa raqt tha
tumharay merey darmiyaan
Bana tha ik pal key liye
Soch kar..palkain kyun num huin
Sansain bhi tham gayien..

Sometimes, how true these songs can be !

No comments: