Wednesday, August 13, 2008

Raat

........Raat....kitni tareek hoti hie na.....ek sannata...ek wehshat...ek anjana sa khauff hota hei raat mei....per jane kyun...in sab key baad bhi ek ajeeb sa sakoon milta hei is raat sey.....Akser hum din me beesion logon k hote hue bhi tanha hote hein....per raat me akele hote hue bhi tanha nahi hote...
Kabhi tum ne ghor kia us Chand per jise raat mei meelon ki musafat tae kerni hoti hei..per wo hamare lye apni raftaar itni madham ker deta hei kai kahin hamari nazron se ojhal na ho jaye....Jante ho kyun ..kyun k wo hume tanha nahi chorna chahta....

Aur ye jheengar jis ka khuaf use hamare samne nahi aane deta...per wo apni chaaen chaaen se musalsal apni mojoodgi ka ehsaas dilata rehta hei...

Deewar per lagi ghari.....poora din jis ki tik tik per hum ghor hi nahi kertey....wo raat bhar humse baatein kerti rehti hei....kabhi ghor kia raat kai kisi peher ...tik tik tik tik...
Wo sard hawa k jhonke jo tum se sargoshian kerte phirte hein aur wo patton ki sarsarahat...
Aur phir ye sitaare...
" Kis kadar ehsaas hei qudrat ko mere dard ka
Jagte rehte hein taare raat bhar mere lye "
Ye taare hamara sath nibhane ki dor me apni poori koowat se tim timaate rehte hein aur is hi koshish me dam tor jaate hein...aur dekhney wale khoosh ho kay kehte hein “wo dekho toota taara...”
Dekha tum ne!!!
Me tanha to nahi raat kei is safar mei, ye sab mere sath hote hein....mere gham gusaar,mere dost...mere ratt jagon k saathi...

Tuesday, August 5, 2008

Asaasa

...
Ek key chain,
Ek ‘Jazz’ phone card….jis se ab koi call nahi aati,
‘McDonlads’ kay wrapper per likha wo note,
Ek friendship band, jo ab mere hath ki unglion me ata hi nahi,
Ek hair catcher,
Kuch khali cards….jin mey parhne key liye bohat kuch tha…per ab shayd wo waqai hi blank hein,
Ek nannha sa angel…..jo shayd ab meri hifazat nahi kerta,
Ek white wrist band,jo me ne tmahre hath se utaar ker khud pehen lia tha,
Ek silver ring, jis pey ab bhi mera naam kanda hay ek extra 'A' k sath...
Wo ek tissue paper per likha message,
Kuch phate purane movie tickets,
Ek adhooora quiz aur us k kone pey bani wo drawing,
Ek mug jis per wo cute si maano ab bhi bethi hui mjhe dekhti rehti hei,
Ek taweel aalwidaai khat, jise perhte perhte sham hojaye,
Ek safhe pey utaara hua 'Economics' ka wo pehla aur akhri lecture,
Aur wo locket jis per likha huye wo harf ab maand per gya hien,
Side table per rakha hua wo clock…jis ki tic tic her pal tmhara naam leti hei,
Ek photo frame jis me ab koi tasweer nahi,
Ek adad T-shirt,
Perfume ki khali bottles jin ki mehek me ab bhi mehsoos ker sakta hoon,
Aur!!!
Aur to kuch bhi nahi,
Bas yehi jama poonji hei,
Yehi kul Asaasa hei mera….